Hiqayat (Part 7) » Yusuf (Alaihay Salam)

Hiqayat (Part 7) » Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) Azize Misr aur Zulekha
Hiqayat (Part 7) » Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) Azize Misr aur Zulekha

Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) Azize Misr aur Zulekha

………. Aziz dosto , Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) jo ki phalisteen me rahte the. unke 12 ladke the. un hi me se pahli Biwi se Yusuf (Alaihay Salam) aur Bin Yamin they aur dusri Biwi se 10 ladke they.

………. Yusuf (Alaihay Salam) bahoot khoobsurat aur Haseen Zameel they. unki khoobsurati ki masaale aaj bhi di jaati hai. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Yusuf (Alaihay Salam) se bahoot Mohabbat karte they aur ye hi baat unke baaqi 10 bhaiyon ko khatakti thi nagawaar lagti thi.

Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) ki apne waalid se judayi:

………. Ek din Yusuf (Alaihay Salam) ne ek khwab dekha aur apne Abba jaan se kahaa ki maine khwab me dekha hai 11 Sitaare, Chaand aur Suraj sab mujhe Sajda kar rahe hai. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) iss khwab ki tabeer samjh gaye ki Allah Ta’ala Yusuf (Alaihay Salam) ko Naboowat se sarfaraaz farmayega aur Deen ki khidmat lega.

Kyunki unhe apne baaqi 10 beton ke baare me maaloom tha. isiliye unhone Yusuf (Alaihay Salam) ko nasihat farmaayee ki iss khwab ka ziqr kisi se mat karna, kyonki Shaitaan insaano ka khulaa Dushman hai.

………. Ek deen 10 bhaiyo ne mashwaraa kiya ki Abba jaan Yusuf (Alaihay Salam) ko jyada chaahte hai aur hum logo ko nahi chaahete. jab ki hum log tadaad me bhi jyada hai aur Quwwat me bhi.

………. Ek Bhai ne mashwara diya kyun na Yusuf ko Qatal kar diya jaaye. jab wo hi na rahega toh Abba jaan hum se bhi Mohabbat karenge aur hum log baad me Sidhe aur Sachche ban jaayenge. iss par dusre ne kaha, “Nahi hum unka Qatal nahi karenge balki unko ek Andhe kuwe (well) me daal denge aur ho sakta hai ki koi kaafilaa aaye aur Yusuf ko apne saath le kar chalaa jaaye. iss baat par sab bhaiyo ki ek raai ban gayi.”

Aur woh sab milkar apne Abba jaan ke paas aaye aur kahne lage, “Kya baat hai ki aap Yusuf ke baare me hum par bharosa nahi karte, halaanki uam toh uske khairkhwah hai. kal Aap usey humaare saath bhej do taaki wo humaare saath khaaye aur khele aur hum uski hifaazat karege.

………. Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “Tum agar isey saath le gaye to mujh ko iss ki judayi ka gham hoga aur main darta hoon ki kahi tum log khel kood me mast ho jaawo aur iss se gaafil ho jaawo aur koi bhediya usey khaa jaaye.”

Iss par unke beto ne kahaa, “Hum log ek taqatwar jamaat hai, agar humaare hotey huwe koi bhediya Yusuf ko khaa jaaye toh ye baat humaare liye nuksaandaayak hogi.”

………. Iss tarhaa woh apne abba jaan se zid kar ke Yusuf (Alaihay Salam) ko apne saath le gaye aur wahaa par Yusuf (Alaihay Salam) ko ek andhe kuwe (well) me fenk diya.

………. Jaise hi unhone Yusuf (Alaihay Salam) ko kunwe me feka waise hi Zibrayeel (Alaihay Salam) ne Yusuf (Alaihay Salam) ko lapak kar khairiyat ke saath kunwe ke tahe tak pahoocha diya aur unn se kahaa, “Ghabrana (darna) nahi Allah Ta’ala tumhara nighebaan hai.”

………. Baaqi Bhaiyo ne Yusuf (Alaihay Salam) ki kameez par ek Bhed (sheep) ka jhuta-mutha rang lagaakar rote huwe apne Abba jaan ke paas pahoonche aur kahaa ki “hum log aapas me shart laga kar doud (runing race) kar rahe the aur Yusuf samaan ke paas peeche chhoot gaye aur hum logo ko khayaal hi na raha aur ek bhediye ne aakar Yusuf ko khaa liya.”

………. Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “Tum log jhoot bol rahe ho, ab Allah Ta’ala hi mujhe sabr de aur iss muamle me mai uss se hi madad chaahta hoon.”

Yusuf Alaihi Salam ka Misr pohochna 

Fir uss kuwe ke paas ek kaafila aaya. unn me se kuch log paani lane ke liye kuwe par gaye, jaise hi un logo ne kuwe me paani ka dol daala, Yusuf (Alaihay Salam) ne uss dol ko pakad liya aur uss dol ke sahaare upar aa gaye. unn logo ne ek Haseen Zamil bachche ko dekha to bahut khush huve aur aapas me kahaa ki, “Is ki to baazaar me achchi keemat mil jaayegi aur ho sakta hai koi amir iss ko apni Aulaad hi bana ley, iss ko chipa lo ke kisi ko pata na chale.”

………. Aur iss tarhaa woh log Yusuf (Alaihay Salam) ko apne saath Misr (Egypt) ke baazaar me le gaye aur Yusuf (Alaihay Salam) ko bech diya.

………. Jis shakhsh ne Yusuf (Alaihay Salam) ko khareeda woh Misr (Egypt) ka amir tha, riwaayato me hai ki woh Baadshah mishr ka khajaanchi tha, usey Aziz Mishr bhi kahaa jata tha. woh shakhsh Beaulaad tha.

………. Yusuf (Alaihay Salam) ko dekhte hi samajh gayaa tha ki ye koi Gulaam nahi hai. balki kisi behad Izzatdaar aur Mohtaram Gharaane ka fard (ladka) hai. jisey Gardish-e-Zamaana yahaa le aayee hai. isiliye usne apni Biwi jis ka naam Zulekha tha uss se kahaa, “Iss se intehaayee izzat aur waqaar ke saath pesh aana, mumkeen hai ki hum isey apna beta hi bana le.”

………. Yusuf (Alaihay Salam) taqreeban 3 Saal Azize Misr ke ghar rahe. Yusuf (Alaihay Salam) khoobsurat Haseen aur Zamil the uss waqt unki umar 20 saal thi. aur aziz Misr ki Biwi Zulekha be-aulaad aur jawaan thi. woh Yusuf (Alaihay Salam) ke ishq me giraftaar ho gayi. uss waqt ka samaaj bhi kuch aazaad khayaalat wala tha. isi liye Zulekha ki Yusuf (Alaihay Salam) ko paane ki chaah shiddat pakad gayi.

Zulaika ka faraib aur Yusuf (Alaihay Salam) ko Qaid:

………. Ek din jab Aziz misr ghar par nahi tha. tab zulekha ki hawas jaag gayee aur usne Yusuf (Alaihay Salam) ko apni taraf wargalaana chaaha. uss ne darwaaze band kar diye aur kahene lagi jaldi se aa jaawo. Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “Allah ta’ala ki panaah, mere rab ne mujhe bahut achchi manzilat bakhshi hai, zaalim log yaqinan falaah nahi paate”. ab zulekha unn se zabardasti kar ne par utar aayee.

………. Woh unko pakadne ke liye unki taraf doudi. Yusuf (Alaihay Salam) uss se bachne ke liye darwaaze ki taraf bhaage. Zulekha ne unki kameez piche se pakad kar apni taraf khichna chaaha toh kameez piche se fat gayee. jaise hi Yusuf (Alaihay Salam) ne darwaaza khola, saamne Azize Misr khada tha. usi waqt Zulekha ne chaal chali aur Aziz Misr se kahaa, “Jo tere ghar ki izzat pe haath daale usey kya sazaa milni chaahiye? aur fir khud hi sazaa bhi suna di ki isko jel me daal dena chaahiye…”

………. Yusuf (Alaihay Salam) ne kahaa, “Maine koi bhi galat kaam nahi kiya hai, ye hi mujhe wargalaana chaahati thi.”

Ab dono me se Gunahgaar koun hai ye kaise sabit hoga, iss par kisi ne kahaa (ek riwaayat me hai ki ek doodh pite bachche ne gawaahi di) agar kameez saamne se fati huyi ho toh Yusuf (Alaihay Salam) gunehgaar aur agar kameez piche se fati huyee ho toh zulekha gunehgaar. isiliye jab Aziz misr ne dekha to kameez piche se fati huyi thi. woh zulekha ka fareb samjh gayaa lekin uske apni izzat ka bhi sawaal tha. isiliye uss ne Yusuf (Alaihay Salam) ko hi Qaid ki sazaa sunaayee.

………. Idhar ye baat saare Misr ki Aurato me fail gayee ki Aziz Misr ki Biwi ek Gulaam ke ishq me giraftaar ho gayee. is tarhaa ki baate toh Aurato me khaas tour pe unchi society (tabke) se taalluk rakhne wali aurato me khoob failti hai. fir isme mirch-masala bhi shaamil ho jaata hai. unhone zulekha ko taane dena shuru kiya. iss ko agar ishq karna tha to iss ke liye isey apna gulaam hi mila. aur agar gulaam par dil aa bhi gayaa toh usko apni taraf ma’ayel bhi na kar saki.

Zamaal-e-Yusuf (Alaihay Salam) ko dekhkar aurto ne apne haath kaate:

………. Zulekha ne jab mishr ki aurato ke ye taane sune toh unn logo ka muhh band karne ke liye usne ek tarqeeb sochi. uss ne tamaam Misr ki Aurato ke liye ek Daawat ki mahefil ka intezaam kiya aur sab ke saamne Phal ( Fruits ) aur chaaku (knife) rakh diya. aur unn aurato se kahaa jab Yusuf (Alaihay Salam) saamne se guzre toh tum ye Phal kaat lena aur Yusuf (Alaihay Salam) ko unke saamne se guzarne ka huqm diya.

………. Yusuf (Alaihay Salam) jaise hi unke saamne se nichi nigaah kiye guzre. waise hi Zulekha ne un aurto ko Phal kaatne ke liye kahaa. unn Aurato ne Zamaal-e-Yusuf (Alaihay Salam) dekha toh apne hosh kho baithi aur Phal ki jagah apne apne haath kaat baithi aur bade hairat se kahaa, “Ye insaan nahi ho sakta ye to koi Farishta hai.”

Reference: (Qasas-Ul-Ambiya Roman Urdu Script Hiqayat by Mohammed Rafique)

To be Continued … 

 Part 6 | List | Part 8

Agla hissa Hiqayat (Part-8) me…

1 comment

  1. Really informative article, I had the opportunity to learn a lot, thank you.
    Tracking in Nainital
© Blog | Ummat-e-Nabi.com. All rights reserved. Distributed by ASThemesWorld