• Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) ka Boot Parasti se Inkar Karte hue Allah ki Raah me Apna Ghar aur Rishte Chorrna.
Aziz dosto ,… aaj hum Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ka ziqr karege. Ibrahim (Alaihay Salam) Allah ta’ala ke khaleel (dost) they. aap ko Yahoodi, Isayi (Nasara) aur yahaa tak ki Makkah ke Mushriq bhi apna peshwaa (Imam) mante they. lekin Allah ta’ala ne Qur’an me irshaad farmaaya ke, “Ibrahim (Alaihay Salam), na Yahood they, na nasara the aur na hi Mushriq they woh to Muslim the aur ek so ho kar Ek Akele Allah ta’ala ki ibaadat karne wale they.”
Islam ya Deen-e-Mohammedi asal me Deen-e-Ibrahim hai.
Ibrahim (Alaihay Salam) iraq me paida huwe, unke waalid ka naam Aazar tha. dosto yahaa par thoda sa ikhtilaafat hai, ke aazar, Ibrahim (Alaihay Salam) ke waleed they ya chacha (uncle). khair, woh shaahi boot khaano ka muhaafiz (hifaazat karne wala) aur booto ko banaa kar becha karta tha.
Ibrahim (Alaihay Salam) ko ibtidaa (shuru) hi se boot parasti se nafrat thi. ek din andheri raat me unhone ek sitaara (star) dekha to kahaa, “Kya ye mera Rab hai ?” , Phir jab woh sitaara doob gaya to kahaa, “Main doobne wale ko pasand nahi karta.”
Pir jab unhone Chaand (moon) ko dekha to kahene lage “Ye mera Rab hai ?” , fir jab woh bhi doob gayaa to kahene lage, “Agar mere Rab ne meri Rehnumaayi na ki tou main Gumraaho me se ho jaunga.”
Phir jab Suraj (sun) ko jagmagaata huwaa dekha to kahaa, “Ye mera Rab hai ?, ye bahut bada hai.” is taraha Allah Subhanahu ta’ala unhe apni nishaaniyo ka mushaahidaa karwa raha tha ya dikha raha tha, phir jab woh suraj bhi doob gayaa to kahene lage, “Aye Meri Qoum bilaasubha mai tumhaare tamaam shariko se bezaar hoon, main to bas uss hi Rab ki ibaadat karta hoon, jisne Zameen aur Aasmaan ko paidaa kiya aur jo saare jahaan ka Rab hai.”
Waalid ko Islam ki Dawat
Ek din Ibrahim (Alaihay Salam) ne apne walid se kahaa, “Abba jaan, aap aisi cheezo ki ibaadat kyon karte ho jo na sun sakti hai na dekh sakti hai aur na tumhaare kisi kaam aa sakti hai, Abba jaan mere paas aisa ilm aaya hai jo aap ke paas nahi aaya, lihaaza Aap mere piche chaliye main Aap ko Seeraat-e-Mustaqeem batlaawooga. Abba jaan shaitaan ki ibaadat na kijiye woh to Allah ta’ala ka nafarman hai. mujhe darr hai ki Allah ta’ala se aap ko sazaa milegi aur aap Shaitaan ke saathi ban jaayege.”
is par unke Waalid ne kahaa, “Main to tujhe hi Gumraahi me paata hoon, kya hum apne itne saare maaboodo (booto) ko chodkar, tere ek maabood (Rab) ki ibaadat kare? agar tuney humaare ma-aboodo ki touheen ya bura bhala kahena band na kiya tou, main tujhe Razim (dhutkarna ya sazza dena) kar doonga. ja nikal ja mere ghar se.”
Ibraahim (Alaihay Salam) ne Allah ta’ala ki raah me apne ghar se nikalna bhi gawaara kar liya. lekin jaate-jaate apne walid se kahaa, “Main apne Rab se tumhaari bakhshish ki duwaa karooga, mera Rab bahut bakhashne wala aur rahim hai.” itna kahekar Ibrahim (Alaihay Salam) apne walid ka ghar chodkar chale gaye.
Qoum ko Dawat-e-Islam
Ibrahim (Alaihay Salam) apne walid ka ghar chodkar Allah ta’ala ke deen ki tableeg ke liye apni qoum ke paas gaye. unhone apni qoum ko haq ki daawat di aur unhe ek Allah “Wahdahu la Sharikalhu” ki taraf bulaaya, lekin unki qoum apni jahiliyat pe adi rahi.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne apni qoum se poocha “Ye tum kiski ibaadat karte ho ?”, woh kahene lage, “hum booto ki ibadat karte hai aur unhi ke paas baithe hai.”
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Jab tum inhe pukaarte ho tou ye tumhaari pukaar ka jawaab dete hai. ya tumhe koi faayeda ya nuksaan pahoocha sakte hai.”
Unhone kahaa, “humne apne baap-dada ko inki pooja karte huve dekha hai, isiliye hum bhi inki ibaadat karte hai.”
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “Tum aur tumhaare baap-daada sab khuli gumraahi me ho, main tumse aur tumhaare baap-daada se aur tum jis ki ibaadat karte ho sab se bezaar hoon. ye sab tumhe Jahnnum ki tarahf le jaayege aur Allah ta’ala ke siwaaye tumhe jahannum se bachaane wala koi na milega.
Mera Rab saare jahaan ka malik hai, jis ne mujhe paidaa kiya, wo hi meri rehnumayi karta hai, wo hi mujhe khilaata aur pilaata hai aur jab main beemaar padhta hoon tou wo hi mujhe Shifaa deta hai, yahaa tak ki wo hi mujhe maarega aur fir zindaa karega aur jis se main ummeed rakhta hoon ki Qayamat ke din woh meri khataaye muaf karega.”
Un kaafiro ne kahaa. “agar tum hamaare maboodo ki touheen karoge aur inhe buraa bhalaa kahena band na karoge to ye tumhe sajaa dege, aur tum par koi bhi musibat daal denge”.
Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa “Ye tumhaare maabood bechaaare apne upar baithi makhkhi to bhagaa nahi sakte, yahaa tak ki woh makhkhi agar inse koi saamaan chhin kar le jaaye to use waapas nahi la sakte, mera kya bigaad lenge. Main to sirf apne Rab se darta hoon jis ke Qabza-e-Qudrat me meri jaan hai aur jo mera khaaliq hai.”
Ibrahim (Alaihay Salam) ki tableeg ka asar unki qoum par na huwaa, chand logo ko chodkar baaqi log imaan na laaye.
Booto ki Aazmaish
Ek din unki Qoum Shaahi Jashn me shaamil hone ke liye gaye. Ibrahim (Alaihay Salam) nahi gaye unhone kahaa, “Meri tabiyat thodi na-saaj (kharaab) hai, isiliye main jashan me nahi jaunga, tum log jaao.”
Unki qoum ne unhe piche chhorr diya. Ibrahim (Alaihay Salam) chupke se unke bootkhane me jaa ghuse aur ek thaali me khaana lekar un booto se kahaa, “Lo khaana khaawo”, fir kahaa, “tum khaate kyon nahi, kya ho gayaa hai tumhe, tum bolte kyon nahi ?.”
Jab booto ki taraf se koi jawaab na aaya to Ibrahim (Alaihay Salam) ne ek kulhaadi (Axe) se us bootkhaane me jitne bhi boot rakhe the unko tod diya siwaaye ek bade boot ke, aur wo kulhaadi (axe) ko us bade boot ke gale me daal diya aur wahaa se chale gaye. jab unki qoum ke kaafir log jashan se waapas aaye to apne booto ka ye haal dekhkar bahut gusse (angry) me aa gaye aur kahene lage, “humaare booto ka ye haal kisne kiya, hum usey sakht se sakht sazaa dege.”
is par unme se ek ne kahaa, “Maine ibrahim ko apne booto ke baare me bhalaa-buraa kahete suna hai. ho sakta hai usi ne humaare booto ka ye haal kiya ho.”
Ibrahim (Alaihay Salam) ko wahaa par laaya gaya, unki qoum ne unse poocha, “humaare booto ka ye haal tumne kiya ?” is par Ibrahim (Alaihay Salam) boley, “uss bade boot se kyon nahi poochte, shaayad usi ne baaqi booto ko toda hai, agar ye jawaab dete ho toh in hi se pooch lo.”
Aise me unki qoum ke paas koi jawaab na tha, unki qoum ke logo ne kahaa, “Ye humaare boot jawaab nahi dete.” is par Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) ne kahaa, “phir tum in ki ibaadat (pooja) kyon karte ho?”. un ki qoum ke logo ne kahaa, “ye kaam tum ne hi kiya hai isiliye hum tumhe iski sazaa dege.” hum tumhare haath pair mukhalif simt se katwaa denge ya tumhe sooli par chadha dege.”
To be Continued …