Ramzan Badi Rehmatou aur Barakatou wala Mahina hai Jisme Sarkash Shayateen band Kar diye Jaate hai Jiske Roze Musalmanou per Farz Kardiye gaye hai, Jisme Allah {تعالیٰ} ne Qur'an ko Nazil kiya hai, Jiska Isteqbaal Musalmaan badi khushi se karta hai.
Alhumdulillah isi tarha Musalmano ko Chahiye ke 5 Chizou ko Ramadan se pahle Acchi tarah se Jaanle aur samjhle.
Ramadan se Pahle Janne Wali 5 Ahem Baatey:-
1. Tawheed:
Apne Aqeede ka Jayeza le kya Waqai Meri Tawheed Durust hai? Kya Waqai Main waisa Tawheed Parast hu Jaisa Hona Chahiye ke Allah {تعالیٰ} ke Alawa koi Ma'bood e Barhaq nahi hai, Tamaam Ibadatey Sirf Usi ke liye hai.
Dua, Sajdah, Qiyam, Ruku, Nazar, Mannat Wagaira. Kahin Waseele ke Naam par Shirk me to Nahi Hu.
Allah Ta'la Arsh per Mustawi hai Har Jagah Nahi Kya Aisa Durust Aqeedah mera hai? Kahin Sifarish ke Naam per Main Shirk me to nahi?
Achi tarah se Apne Aqeedah e Tawheed ka Jayeza lena Zaroori hai Kyu ke yahi buniyad hai Qubool e Aamaal ki.
Agar Tawheed durust nahi to Ramadan ke saare Aamaal barbaad Isiliye Ramadan se pahle apni Tawheed ko durust karle.
<<<<<< ۞ >>>>>>
2. Sunnat:
Ramadan me Jitne bhi Ibadaat Karne hai Sabhi Tareeqa e Muhammadi {ﷺ} per hone Chahiye, na ke Kisi Imam ke jiski khabar na Qur'an me hai aur na hi Sahih Aahadees me hai.
Roza Sunnat ke Mutabiq hona chahiye Saher Aakhir waqt tak karna, Iftar Awwal waqt me karna, Namazou ka Tareeqa Muhammadi hona, Hanfi ya Shafai nahi.
Zikr o Azkaar aur Uska Waqt Sunnat se Sabit Shudah hona, Apni Manmani wala Azkaar aur Waqt nahi. Qur'an ki Tilawat sukun se Taher Taher kar karna Speed mode per nahi jaana. Khaane peene ke Muta'lliq Sunnat per chalna wagaira wagaira.
<<<<<< ۞ >>>>>>
3. Ikhlas:
Upar ki 2 Chizey hone ke baad bhi Aamaal Qubool nahi hote. Wajah Riya Dikhawa apne Aamaal ko Khalis Allah {تعالیٰ} ke Liye Karna har Amal se pahle Apni Niyyat ko Mukhlis karna.
Kisi ko mat bataiye ke Aap kitna Amal kar rahe hai. kya kar rahe hai Jitna bhi Amal kar rahe hai Khalis kare Quantity se Zyada Quality per Tawajjoh dijiye Amal Allah {تعالیٰ} ke liye karna hai Logou ke liye nahi tou logou ki Fikr nahi karna bus Ikhlas par Mehnat karna hai.
<<<<<< ۞ >>>>>>
4. Maqsad:
Har Ramadan aata jaata hai aur har Insan kuch na kuch Apni Zindagi me Ramadan se Tabdeeli laana chahta hai Jo koi Namaz nahi padh raha tha wo Maqsad banata hai is Ramadan se ek bhi Namaz nahi chodunga waise hi har Insan ko apni Zindagi me deeni Tabdeeli laane ke liye Ek Maqsad banana chahiye ke is Ramadan se Gaane seriels Behuda kaama karna chod dunga ya Deendaar log extra deeni Activities ko kaise Apni Zindagi me laaye aisa Ek Maqsad banakar kaam kare to kuch na kuch us Maqsad me Allah {تعالیٰ} kamiyabi Zaroor dega lekin Maqsad ke Saath koshish behad Zaroori hai.
<<<<<< ۞ >>>>>>
5. Schedule:
Ramadan se pahle hi apne Ibadaat ka Ek Schedule banaye apne Ghar aur Office ke kaamou ko manage Karte hue Free Time ko kaise Utilise kare Aamaal karne me, Qur'an ki Tilawat kab kare.Extra Nawafil kab padhe, Zikr o Azkaar ki Timing, A to Z Schedule banaye Deen par Amal karne ke liye Na ke Ramadan ko Enjoy karne ya kamane ke liye ya Shopping karne ke liye ya Business karne ke liye.
Ramadan aapko kamane se nahi rokta lekin Ramadan ko sirf kamane khane aur Shopping ka Mahina Banana galat baat hai.
Allah {تعالیٰ} Hum Sabko ye Mukammal Ramadan Mukammal Shifa ke saath naseeb faramaye Aqeedah e Tawheed per chalte hue apne aamaal Tareeqa e Rasool {ﷺ} per Ikhlas e Niyyat per karne wala banaye Aameen ya Rabbul Aalameen ...
Aur bhi Dekhe: