17 Ramzan ~ Jung e Badr aur Naseehatey

17 Ramadan ko Jung e Badr pesh aayi Jo Jung e Badr: Islam ki sabse pahli Jung thi Jisme Allah {تعالیٰ} ne Musalmanou ko Fatah Naseeb farmayi thi...
17 Ramadan ~ The Battle of Badr

17 Ramadan ko Jung e Badr pesh aayi Jo Islam ki sabse pahli Jung thi Jisme Allah {تعالیٰ} ne Musalmanou ko Fatah Naseeb farmayi thi.

Jung e Badr Kya Hai?

Ye Islam Ki Pahli Jung Thi Jo Badr K Muqaam Per Pesh Aayi Jisme Allah {تعالیٰ} Ne 1000 K Lashkar K Muqable Me 313 Jo Fatah Ata Ki.

Waqia Jung e Badr:-

Saraiya Nuqla ke Baad Mushrikeen e Makkah Samajh Chuke The ke Musalmaan Inke Liye Ab Khatra Ban Chuke hai. Isiliye Un Logou ne Soncha ke Musalmanou ko Ghar (Yani Madina me) me Ghus Kar  Safaya kar Daale. Yahi Wajah Unhe Badr ke Maidan Tak le Aayi.

Saraiyya Nuqla ke Baad Allah {تعالیٰ} ne Jung ko Farz karar de diya. Jaise Surah Baqrah ki Ayat 190-193 tak phir Surah Muhammad {ﷺ} ki Ayat 4-7 tak Allah {تعالیٰ} ne Jung ka Tariqa bataya.

Shaban 2 Hijri me Allah {تعالیٰ} ne Jab Qibla Baith Al Maqdas se Khana Kaba ki taraf kar diya to Kamzor aur Munafiq Yahud khulkar saamne aagaye aur Isi tarha Musalmanou ki Fouj Gaddarou se paak hogayi.

Gazwa Badr Ka Sabab:- 

Gazwa Ushairah ka jo Qafila bach Nikla tha wo Ab Wapis Makka hone wala tha Jis Qafile me 40 Log the Abu Sufiyan ke Saath aur Qafile me Ahle Makkah ka buhut Khazana tha. Jisper Aap {ﷺ} ne Logou ko Is Gazwe me Shirkat ki dawat di lekin Zaroori karar nahi di Jis per kayi Logou ne hissa liya kisi ne phichle Gazwaat ke jaise hi Isko aam samjha. 

Ramzan aur Jung e Badr

Aur Is Gazwa me Shirkat karne walou ki Tadaad 313 ya 314 ya 317 thi Jinme Muhajireen 82 ya 83, 86 they Ansaar 62 aur 70 Khabila khazraj se they. Poore Lashkar me Sirf 2 Ghode aur 70 Ount they har Ount per 2 ya 3 Aadmi baari baari Sawar hote they. 

Badr ki Janib Islami Lashkar:- 

Rasool Allah {ﷺ} ne Mukammil Lashkar ko lekar Badr ke taraf chal pade Wadi e Safra' ke qareeb Pahunch kar 2 Sahaba ko bheja halaat pata karne ke liye.

Dusri taraf Abu Sufiyan ko pata chal gaya tha ke Makkah wale Hamla karne ke liye taiyar hai usne fouri Makkah ko Khabar Pahunchayi ke Musalmaan Humper hamla karne wale hai Jisper sabhi Jama hue aur Taiyyari karne lage aur 1300 ka Lashkar lekar nikle Jisme 100 Ghode aur bahut Saare Ount they Lashkar ka Salaar Abu Jahal tha. 

Qabail Banu Bakr ka. Makkah per Piche se Hamle ka dar tha lekin Banu Kanana ke Saradar ne madad karne ki Zamanat di. Uske baad Makkah ka Qafila nikal gaya aur jab wo Wadi e Usfaan se Guzre to Abu Sufiyan ka khat mila jisme likha tha ke Qafila bachkar Nikal gaya hai Aap sabhi wapas ho jao. 

Qafila Bachne ka Waqiya:- 

Abu Sufiyan Badr ke qareeb apne Qafile se pahle Panhuch kar Jayeza liye jisme Pata chala ke 2 log Paani ke liye waha aaye they Wo waha gaya aur Ount ki Mengniya uthakar todi Jissey pata chala ye Yasrab(Madina) ka chara hai Usne apne Qafile ko dusri taraf mod diya aur bach nikla.

Is Khabar ko Sunkar sabhi Makkah wale log wapis ho rahe they unhe Abu Jahal ne uksaya aur usme se Ek Qabila ke 300 log they jo wapis hogaye aur ab 1000 log ka Lashkar tha.

Nabi {ﷺ} ko pata chalgaya ke wo Qafila bach nikla hai aur phir Aap {ﷺ} ne Majlis e Shora ka Ahtemaam kiya tamaam logou ne Nabi {ﷺ} ke faisle ko manne ki baat kahi aur phir Lashkar Badr ki taraf chal pada aur Badr ke qareeb nuzul farmaya.

Aap {ﷺ} Abu Bakr (رضي الله عنه) ke saath Jaankari lene ke liye nikle aur Jaankari hasil ki phir uske baad Aap {ﷺ} ne Ali (رضي الله عنه) ke Humra 2 Sahaba ko bheja wo Badr ke Chashme se 2 Aadmiyou ko pakad kar laaye unse Nabi {ﷺ} ne pucha wo Logou ne tamaam baatey Nabi {ﷺ} ko bata di ke Unme kitne log hai aur koun koun hai Jisper Nabi {ﷺ} ne Sahaba {رضي الله عنهم اجمعين} ko kaha Makkah walou ne Apne Jigar ke Tukdou ko bheja hai. 

Badr me Barish :

Phir usi Raat Allah {تعالیٰ} ne Barish nazil ki jo Musalmaano ke liye Rahmat aur Mushrikeen ke liye Zahmat bani aur phir uske baad Nabi {ﷺ} ne apne tamaam Sahaba ke saath Badr ke Chashme ko pahunche. 

Uske baad Sa'ad bin Muaz (رضي الله عنه) ke kahne per Nabi {ﷺ} ke taherne ke liye Jhopdi unchi Jagah per banayi gayi jaha se sab Nazar aaye. Ye Raat 17 Ramadan 2 Hijri ki thi.

Mushrikeen me Utba aur Abu Jahal me takrar hua Jung karne aur na karne per phir Abu Jahal ne Saraiyya Nuqla me jo Qatal hua tha uske Bhai ko apne Qatal ke badle ke baare me Uksaya sabne badla Lene ka thaam liya aur dono girou aagaye.

17 Ramzan Jung-e-Badr (313 vs 1000)


Jung ki Ibtida :

Nabi {ﷺ} ne Musalmanou ki Saafe Dusrust ki aur farmaya jabtak Hukum na karu Jung Shuru na karna. Jab Mushrikeen saamne Aajaye tab Teer chalana Teer ko zaya na karna aur phir Abu Bakr (رضي الله عنه) aur Nabi {ﷺ} Jhopdi me aagaye aur Sa'ad bin Muaz (رضي الله عنه) ne Jhopdi ke bahar pahra dene lage.

Idhar Abu Jahal ne Allah {تعالیٰ} se Dua ki phir Uske baad Asud ne Qasam khayi ke Aaj main is Houz ka paani pikar rahunga, Uske baad Hamza (رضي الله عنه) ne usper Hamla kiya aur Qatal kardiya. 

Uske Baad Quraish ke 3 bade log aaye jisme Utba, Sheba aur Waleed jo Utba ka beta tha Teenou ek hi Khandaan ke they aur Commander they Allah ke Nabi {ﷺ} ne 3 Ansari Sahaba ko bheja Jisper Utba ne Kaha hum tumhe nahi Chichere bhaiyou ko chahte hai jisper Nabi {ﷺ} ne Hamza (رضي الله عنه), Ali (رضي الله عنه) aur Ubaidah bin Haris (رضي الله عنه) ko bheja. 

Hamza (رضي الله عنه) ne Sheba aur Ali (رضي الله عنه) ne Waleed ko Qatal kar diya aur Ubaidah (رضي الله عنه) aur Utba me barabar ka Muqabla tha uske baad Hamza (رضي الله عنه) aur Ali (رضي الله عنه) aakar Utba ka Qatal kardiya Ubaidah (رضي الله عنه) bahut Zaqmi hogaye they aur 4 din baad aapki wafat hogayi thi.

Jung me Farishto ki Shirkat :

Uske baad Mushrikeen ne Gusse me Hamla bol diya jaha Musalmaan bachao kar rahe they phir Rasool {ﷺ} ne Dua ki Jung aur badh gayi Jisper Nabi {ﷺ} ne Zordaar Dua ki jisper Aap {ﷺ} ki Chadar gir gayi Jisper Abu Bakr (رضي الله عنه) ne chadar sahi ki aur farmaya bus kijiye. 

Idhar Allah {تعالیٰ} ne Farishtou ko wahi ki aur Farishtou ka nuzul hua. Nabi {ﷺ} ne Abu Bakr (رضي الله عنه) ko faramaya khush hojao ye Jibrail (علیہ السلام) hai jo 2 Gubbarou me aa rahe hai uske baad Aap {ﷺ} jhopdi se bahar aaye aur Kankrili Mithi li aur Josh me aage badhe aur Mushrikeen ke muh per maara. 

Nabi {ﷺ} ne Sahaba ko Jannat ke baare me bataya aur phir Sahaba ne Mushrikeen per hamla boldiya. Kuch log marne se pahle gir jaate they aur wo Allah {تعالیٰ} ki madad thi jo Gaibi shakal me aayi thi aur phir Mushrikeen ke Shikast ke Aasaar nazar aagaye. 

Abu Jahal Takabbur me Aage bada aur Ansar ke 2 Noujawanou ne Usey maar dala.

Musalmano ki Fatah :

Ye Jung Mushrikeen ki Shikast aur Musalmanou ki Fateh per khatm hui Jisme 14 Musalmaan Shaheed hue 6 Muhajireen aur 8 Ansaar aur Mushrikeen ke 70 aadmi maare gaye they aur 70 Aadmi Qaid hue they Jinme Aksar bade Ahude waale aur Sardaar they. Tamaam ki Lashou ko Kunwa(Well) me dala gaya. Nabi {ﷺ} ne Kunwe ke paas Jakar Unse baat ki.

Nabi {ﷺ} ne 2 Sahaba ko Madina bheja Khush Khabri sunane ke liye waha Madina me yahud ne galat Afwa phaila rakhi thi ke Nabi {ﷺ} Qatal Kardiye gaye hai. 

Jab Khsuhkhabri Pahunchi to Madina me kushi wo Masarrat doud gayi aur Madina Takbeerou se Gunj utha.

Maal e Ganimat ko ek jagah karke Nabi {ﷺ} ne barabar Taqseem kardiya. aur 3 din Badr me Taherne ke baad Madina Pahunche jaha per sabhi ne Isteqbaal kiya aur Yahud aur Munafiq darne lage kayiuo ne Islam Qubool kiya Isi waqt Abdullah bin Ubai Munafiq ne bhi Dikhawe ke liye Islam Qubool kiya aur phir Qaidiyou ko fidya lekar chod diya.

Aur usi Saal Ramadan 2 Hijri me hi Ramadan ke Roze aur Sadqa Fitr farz kiya gaya aur Zakat ke baare me bataya gaya jisey Fuqra ko bahut sa faida hua. Phir Tamaam Musalmanou ne Pahli Eid Manayi jisme Badr ki kamyabi ki khushi bhi shamil thi.

<<<<< ۞ >>>>>

Jung e Badr aur Naseehatey:-

1. Allah {تعالیٰ} ne kum tadaad ko Aksariyat per kamiyabi ata farmayi.

2. Sahaba ka Allah {تعالیٰ} per Tawakkal.

3. Sahaba ka Nabi {ﷺ} ki Ita'at o Itteba karna. (Jung e Uhud me Nabi {ﷺ} ki Ita'at se Ghaflat aur Uska Anjaam aap sabko Maloom hai).

4.Sahaba Ikraam ka Ittehaad.

<<<<< ۞ >>>>>

Jung e Badr se Bahut si Nasihatey hame milti hai, hame waisi kamiyaabi hasil karne ke liye Sahaba jaisa Imaan apnane ki Zarurat hai. Sahaba jaisa Hamara Allah per Tawakkal hona chahiye. 

Nabi {ﷺ} ki har haal me Ita'at o Itteba karni chahiye aur Musalmanou me Ittehaad hona chahiye phir dekhiye Allah {تعالیٰ} ki madad kaise nazil hoti hai.

📕  Seerat un Nabi  {ﷺ}

- Aye Allah! Hume Sahaba jaisa Imaan Naseeb farma, 

- Hame Nabi {ﷺ} ki Ita'at o Itteba karne wala Bana 

- Aur Musalmanou me Ittehaad o Ittefaq paida farma Aameen Ya Rabbal Aalameen


Pls Share To All Groups Family Relatives & Friends Etc...

Post a Comment

© Blog | Ummat-e-Nabi.com. All rights reserved. Distributed by ASThemesWorld