Hiqayat (Part 4) » Nabuwat ka Silsila

Roo-e-Zameen par Hiqayat (Part 4) » Insaaniyat Ki Rehnumaayee ke liye Nabiyo aur Rasoolo ko Silsilah
Roo-e-Zameen par Hiqayat (Part 4) » Insaaniyat Ki Rehnumaayee ke liye Nabiyo aur Rasoolo ko Silsilah

Roo-e-Zameen par Insaaniyat Ki Rehnumaayee ke liye Nabiyo aur Rasoolo ko Silsilah

Aziz dosto iss tarhaa duniya me Aadam (Alaihay Salam) aur Bibi Hawwa ke aane ke baad unki Aulaade huyee aur Aulaado ki Aulaade hone lagi, aur Zameen par insaano ki tadaad badhne lagi, dhire dhire ye Zameen par failne lage aur Samaaj, Kunbaa aur Qabile aur Qaumo me bat gaye.

Jaisa ki Allah Ta’ala ne wadaa kiya tha ki Insaaniyat ki rehnumaayee ke liye apne Nabiyo aur Rasoolo ko bhejugaa. toh Allah Ta’ala ne har Qaum ke liye Nabi aur Rasool bheje, taaki insaan apne Rab ko pahechaane aur Shariyat ya Qanoon ke Hisaab se apni zindagi guzaare, jis se uski duniya aur aakhirat dono sanwar jaaye aur woh Haraam Halaal, Neki aur Gunaah ko samajh sakey.

Ek riwayat me hai ki Allah Ta’ala ne insaano ki rehnumaayee ke liye kamobesh 1,24,000 paigambar bheje. kamobesh se muraad, kum bhi ho sakte hai aur jiyaada bhi. ye paigambar duniya ke har hisse me jahaa bhi insaani Qaum thi bheje gaye.

25 Prophets Mentioned in the Qur’an :

Inme jo paigambar huwe aur jinka Ziqr Qur’an Shareef me Allah Ta’ala ne kiya hai, wo iss tarha hai.

1. Aadam (Alaihay Salam), 2. Sheesh (Alaihay Salam), 3. Nooh (Alaihay Salam), 4. Shoeb (Alaihay Salam), 5. Saleh (Alaihay Salam), 6. Idrees (Alaihay Salam), 7. Hood (Alaihay Salam), 8. Zakariya (Alaihay Salam), 9. Ibrahim (Alaihay Salam), 10. Dawood (Alaihay Salam), 11. Sulaiman (Alaihay Salam), 12. Zulkarnain (Alaihay Salam), 13. Ayyub (Alaihay Salam), 14. Yaqoob (Alaihay Salam), 15. Daaniyal (Alaihay Salam), 16. Moosaa (Alaihay Salam), 17. Haroon (Alaihay Salam), 18. Ismail (Alaihay Salam), 19. Ishaaq (Alaihay Salam), 20. Yunus (Alaihay Salam), 21. Yusuf (Alaihay Salam), 22. Yahyaa (Alaihay Salam), 23. Isaa (Alaihay Salam), 24. aur Aakhir me Humaare Pyaare Aaqa 25. Muhammed (Sallallahu Alaihay Wasallam).

Yahaa par har paigambar ka ziqr nahi kar sakte kyonki uske liye kaafi waqt ki darkaar hai aur post bhi bahut jiyaada lambi ho jayegi. isiliye ham yahaa par kuch hi paigambar ka ziqr kar rahe hai. aadam (alaihay salam) ke baare me aap jaan hi chuke ho. ab hazrat nooh (alaihay salam) ka ziqr karenge agli post me.

Reference: (Qasas-Ul-Ambiya Roman Urdu Script Hiqayat by Mohammed Rafique)

To be Continued …

Part 3 | List | Part 5

Agle Part Hiqayat (Part 5) Nooh (Alaihay Salam) ka tazikira Karenge.. JazakAllah Khair..

Post a Comment

© Blog | Ummat-e-Nabi.com. All rights reserved. Distributed by ASThemesWorld